Ai Ajal Ai Jaan-e-fani Tu Ne Ye Kya Kar Diya

ai ajal ai jaan-e-'fani' tu ne ye kya kar diya

mar Dala marne wale ko ki achchha kar diya

jab tera zikr aa gaya hum dafatan chup ho gae

wo chhupaya raaz-e-dil hum ne ki ifsha kar diya

kis qadar be-zar tha dil mujh se zabt-e-shauq par

jab kaha dil ka kiya zalim ne ruswa kar diya

yun churain us ne aankhen sadgi to dekhiye

bazm mein goya meri jaanib ishaara kar diya

dardmandan-e-azal par ishq ka ehsan nahin

dard yan dil se gaya kab tha ki paida kar diya

dil ko pahlu se nikal jaane ki phir raT lag gai

phir kisi ne aankhon aankhon mein taqaza kar diya

ranj paya dil diya sach hai magar ye to kaho

kya kisi ne de ke paya kis ne kya pa kar diya

bach raha tha ek aansu-dar-o-gir-e-zabt se

joshish-e-gham ne phir is qatre ko dariya kar diya

'fani'-e-mahjur tha aaj aarzu-mand-e-ajal

aap ne aa kar pashiman-e-tamanna kar diya

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Ajal Ai Jaan-e-fani Tu Ne Ye Kya Kar Diya In English By Famous Poet Fani Badayuni. Ai Ajal Ai Jaan-e-fani Tu Ne Ye Kya Kar Diya is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Ai Ajal Ai Jaan-e-fani Tu Ne Ye Kya Kar Diya for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Ai Ajal Ai Jaan-e-fani Tu Ne Ye Kya Kar Diya in PDF.