Ada Se AaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue

ada se aaD mein KHanjar ke munh chhupae hue

meri qaza ko wo lae dulhan banae hue

ilahi kyun nahin hoti koi bala nazil

asar hai der se dast-e-dua uThae hue

teri lagai hui aag hashr tak na bujhi

hue na mar ke bhi ThanDe tere jalae hue

bala-e-jaan hai magar phir bhi aarzu hai teri

hum us ko apne kaleje se hain lagae hue

sahar hui ki wo yaadash-ba-KHair aata hai

charagh hain meri turbat ke jhilmilae hue

tumhin kaho ki tumhein apna samajh ke kya paya

magar yahi ki jo apne the sab parae hue

kisi ka hae wo maqtal mein is tarah aana

nazar bachae hue aastin chaDhae hue

ajal ko muzhda-e-fursat ki aaj 'fani'-e-zar

umid-e-wasl se baiTha hai lau lagae hue

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada Se AaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue In English By Famous Poet Fani Badayuni. Ada Se AaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Ada Se AaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Ada Se AaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue in PDF.