Ab Unhen Apni Adaon Se Hijab Aata Hai

ab unhen apni adaon se hijab aata hai

chashm-e-bad-dur dulhan ban ke shabab aata hai

hijr mein bhi mujhe imdad-e-ajal hai darkar

meri turbat pe na aa tujh se hijab aata hai

did aaKHir hai ulaT dijiye chehre se naqab

aaj mushtaq ke chehre pe naqab aata hai

kis taraf josh-e-karam teri nigahen uTThin

kaun mahshar mein saza-war-e-itab aata hai

maut ki nind bhi ab chain se sona malum

ki janaze pe wo ghaarat-gar-e-KHwab aata hai

dil ko is tarah Thahar jaane ki aadat to na thi

kyun ajal kya mere name ka jawab aata hai

jalwa-e-rang hai nairang-e-taqaza-e-nigah

koi majbur tamasha-e-sarab aata hai

ho gaya KHun tere hijr mein dil ka shayad

ab tasawwur bhi tera naqsh-bar-ab aata hai

milti julti hai meri umr-e-do-roza 'fani'

ji bhar aata hai agar zikr-e-habab aata hai

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Unhen Apni Adaon Se Hijab Aata Hai In English By Famous Poet Fani Badayuni. Ab Unhen Apni Adaon Se Hijab Aata Hai is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Ab Unhen Apni Adaon Se Hijab Aata Hai for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Ab Unhen Apni Adaon Se Hijab Aata Hai in PDF.