Dil Ki Kaya Gham Ne Wo PalTi Ki Tujh Sa Ban Gaya

dil ki kaya gham ne wo palTi ki tujh sa ban gaya

dard mein dil Dub kar qatre se dariya ban gaya

un ke aaghosh-e-mashiyyat mein hai nakaami meri

kaam kuchh is tarah bigDa hai ki goya ban gaya

dil ki rut aisi to yaad-e-yar ne badli na thi

ye chaman ujDa hi is Dhab se ki sahra ban gaya

naqsh-e-mauhum-e-hayat afsana-dar-afsana tha

jab ye naqsh ubhra to ek harf-e-tamanna ban gaya

lo mubarak lazzat-e-gham bhi hai ab to nagawar

dil mohabbat mein jo banna chahiye tha ban gaya

jalwa-e-kasrat KHud apna shauq-e-be-andaza tha

mahfil-e-laila meri nazron mein laila ban gaya

meri mahrumi bhi ruswa hai ki 'fani' haal-e-dil

un ke kanon tak na pahuncha aur fasana ban gaya

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Kaya Gham Ne Wo PalTi Ki Tujh Sa Ban Gaya In English By Famous Poet Fani Badayuni. Dil Ki Kaya Gham Ne Wo PalTi Ki Tujh Sa Ban Gaya is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Dil Ki Kaya Gham Ne Wo PalTi Ki Tujh Sa Ban Gaya for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Dil Ki Kaya Gham Ne Wo PalTi Ki Tujh Sa Ban Gaya in PDF.