Dil Ki Har Larzish-e-muztar Pe Nazar Rakhte Hain

dil ki har larzish-e-muztar pe nazar rakhte hain

wo meri be-KHabari ki bhi KHabar rakhte hain

dard mein lutf-e-KHalish kaif-e-kashish pata hun

kya wo phir azm-e-tamasha-e-jigar rakhte hain

jis taraf dekh liya phunk diya tur-e-majaz

ye tere dekhne wale wo nazar rakhte hain

KHud taghaful ne diya muzhda-e-bedad mujhe

allah allah mere nale bhi asar rakhte hain

bebasi dekh ye sau bar kiya ahd ki ab

tujh se ummid na rakkhenge magar rakhte hain

hai tere dar ke siwa koi Thikana apna

kya kahin tere ujaDe hue ghar rakhte hain

koi is jabr-e-tamanna ki bhi had hai 'fani'

hum shab-e-hijr mein ummid-e-sahar rakhte hain

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Har Larzish-e-muztar Pe Nazar Rakhte Hain In English By Famous Poet Fani Badayuni. Dil Ki Har Larzish-e-muztar Pe Nazar Rakhte Hain is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Dil Ki Har Larzish-e-muztar Pe Nazar Rakhte Hain for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Dil Ki Har Larzish-e-muztar Pe Nazar Rakhte Hain in PDF.