Hasil-e-ilm-e-bashar Jahl Ka Irfan Hona
hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona
umr bhar aql se sikha kiye nadan hona
chaar zanjir-e-anasir pe hai zindan mauquf
wahshat-e-ishq zara silsila-e-jumban hona
jama karta hun gireban ke nikale hue tar
yaad aaya hai mujhe sar-ba-gareban hona
dil bas ek larzish-e-paiham hai sarapa yani
tere aaina ko aata nahin hairan hona
fal-afzudni-e-mushkil hai har aasani-e-kar
meri mushkil ko mubarak nahin aasan hona
rahat-e-anjam-e-gham aur raht-e-duniya malum
likh diya dil ke muqaddar mein pareshan hona
de tera husn-e-taghaful jise hai chahe fareb
warna tu aur jafaon pe pashiman hona
hae wo jalwa-e-aiman wo nigah-e-sar-e-tur
fitna-saman se tera fitna-e-saman hona
KHak-e-'fani' ki qasam hai tujhe ai dasht-e-junun
kis se sikha tere zarron ne bayaban hona
(1140) Peoples Rate This