Jab Pursish-e-haal Wo Farmate Hain Jaaniye Kya Ho Jata Hai

jab pursish-e-haal wo farmate hain jaaniye kya ho jata hai

kuchh yun bhi zaban nahin khulti kuchh dard siwa ho jata hai

ab KHair se un ki bazm ka itna rang to badla mere baad

jab nam mera aa jata hai kuchh zikr-e-wafa ho jata hai

yakta-e-zamana hone par sahab ye ghurur KHudai ka

sab kuchh ho magar KHakam-ba-dahan kya koi KHuda ho jata hai

qatra qatra rahta hai dariya se juda rah sakne tak

jo tab-e-judai la na sake wo qatra fana ho jata hai

phir dil se 'fani' sare ke sare naqsh-e-jafa miT jate hain

jis waqt wo zalim samne aa kar jaan-e-haya ho jata hai

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Pursish-e-haal Wo Farmate Hain Jaaniye Kya Ho Jata Hai In English By Famous Poet Fani Badayuni. Jab Pursish-e-haal Wo Farmate Hain Jaaniye Kya Ho Jata Hai is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Jab Pursish-e-haal Wo Farmate Hain Jaaniye Kya Ho Jata Hai for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Jab Pursish-e-haal Wo Farmate Hain Jaaniye Kya Ho Jata Hai in PDF.