Jalwa-e-ishq Haqiqat Thi Husn-e-majaz Bahana Tha

jalwa-e-ishq haqiqat thi husn-e-majaz bahana tha

shama jise hum samjhe the shama na thi parwana tha

shobade aankhon ke hum ne aise kitne dekhe hain

aankh khuli to duniya thi band hui afsana tha

ahd-e-jawani KHatm hua ab marte hain na jite hain

hum bhi jite the jab tak mar jaane ka zamana tha

dil ab dil hai KHuda rakkhe saqi ko mai-KHane ko

warna kise malum nahin TuTa sa paimana tha

'fani' ko kaisa hi sahi phir bhi tujhi se nisbat thi

diwana tha tha kis ka tera hi diwana tha

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwa-e-ishq Haqiqat Thi Husn-e-majaz Bahana Tha In English By Famous Poet Fani Badayuni. Jalwa-e-ishq Haqiqat Thi Husn-e-majaz Bahana Tha is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Jalwa-e-ishq Haqiqat Thi Husn-e-majaz Bahana Tha for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Jalwa-e-ishq Haqiqat Thi Husn-e-majaz Bahana Tha in PDF.