Jazb-e-dil Jab Ba-ru-e-kar Aaya

jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya

har nafas se payam-e-yar aaya

maut ka intizar tha aai

jaiye ab mujhe qarar aaya

jab kisi ne liya tumhaara nam

girya be-qasd-o-iKHtiyar aaya

be-qarari mein ab ye hosh nahin

kis ke dar par tujhe pukar aaya

farsh-e-gul phir bichha rahi hai nasim

aaiye mausam-e-bahaar aaya

aaj hum pi sake na wo aansu

un ke aage jo bar bar aaya

KHair to hai ki aap ke dar se

aaj 'fani' ummid-war aaya

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazb-e-dil Jab Ba-ru-e-kar Aaya In English By Famous Poet Fani Badayuni. Jazb-e-dil Jab Ba-ru-e-kar Aaya is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Jazb-e-dil Jab Ba-ru-e-kar Aaya for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Jazb-e-dil Jab Ba-ru-e-kar Aaya in PDF.