Ji DhunDhta Hai Ghar Koi Donon Jahan Se Dur

ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur

is aap ki zamin se alag aasman se dur

shayad main dar-KHur nigah-e-garm bhi nahin

bijli taDap rahi hai mere aashiyan se dur

aankhen chura ke aap ne afsana kar diya

jo haal tha zaban se qarib aur bayan se dur

ta-arz-e-shauq mein na rahe bandagi ki lag

ek sajda chahta hun tere aastan se dur

hai mana rah-e-ishq mein dair-o-haram ka hosh

yani kahan se pas hai manzil kahan se dur

(1300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji DhunDhta Hai Ghar Koi Donon Jahan Se Dur In English By Famous Poet Fani Badayuni. Ji DhunDhta Hai Ghar Koi Donon Jahan Se Dur is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Ji DhunDhta Hai Ghar Koi Donon Jahan Se Dur for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Ji DhunDhta Hai Ghar Koi Donon Jahan Se Dur in PDF.