Kisi Ke Ek Ishaare Mein Kis Ko Kya Na Mila

kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila

bashar ko zist mili maut ko bahana mila

mazaq-e-talKH-pasandi na puchh is dil ka

baghair marg jise zist ka maza na mila

dabi zaban se mera haal chaarasaz na kah

bas ab tu zahr hi de zahr mein dawa na mila

KHuda ki den nahin zarf-e-KHalq par mauquf

ye dil bhi kya hai jise dard ka KHazana mila

dua gada-e-asar hai gada pe takiya na kar

ki e'timad-e-asar kya mila mila na mila

zuhur-e-jalwa ko hai ek zindagi darkar

koi ajal ki tarah der-ashna na mila

talash-e-KHizr mein hun ru-shanas-e-KHizr nahin

mujhe ye dil se gila hai ki rahnuma na mila

nishan-e-mehr hai har zarra zarf-e-mehr nahin

KHuda kahan na mila aur kahin KHuda na mila

meri hayat hai mahrum-e-mudda-e-hayat

wo rahguzar hun jise koi naqsh-e-pa na mila

wo na-murad-e-ajal bazm-e-yas mein bhi nahin

yahan bhi 'fani'-e-awara ka pata na mila

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Ek Ishaare Mein Kis Ko Kya Na Mila In English By Famous Poet Fani Badayuni. Kisi Ke Ek Ishaare Mein Kis Ko Kya Na Mila is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Kisi Ke Ek Ishaare Mein Kis Ko Kya Na Mila for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Kisi Ke Ek Ishaare Mein Kis Ko Kya Na Mila in PDF.