Kuchh Bas Hi Na Tha Warna Ye Ilzam Na Lete

kuchh bas hi na tha warna ye ilzam na lete

hum tujh se chhupa kar bhi tera nam na lete

nazren na bachana thin nazar mujh se mila kar

paigham na dena tha to paigham na lete

kya umr mein ek aah bhi baKHshi nahin jati

ek sans bhi kya aap ke nakaam na lete

ab mai mein na wo kaif na ab jam mein wo baat

ai kash tere hath se hum jam na lete

qabu hi gham-e-ishq pe chalta nahin warna

ehsan-e-gham-e-gardish-e-ayyam na lete

hum hain wo bala dost ki gulshan ka to kya zikr

jannat bhi bajae qafas o dam na lete

KHamosh bhi rahte to shikayat hi Thaharti

dil de ke kahan tak koi ilzam na lete

allah re mere dil ki nazakat ka taqaza

tasir-e-mohabbat se bhi hum kaam na lete

teri hi raza aur thi warna tere bismil

talwar ke sae mein bhi aaram na lete

ek jabr hai ye zindagi ishq ki 'fani'

hum muft bhi ye aish-e-gham-anjam na lete

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bas Hi Na Tha Warna Ye Ilzam Na Lete In English By Famous Poet Fani Badayuni. Kuchh Bas Hi Na Tha Warna Ye Ilzam Na Lete is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Kuchh Bas Hi Na Tha Warna Ye Ilzam Na Lete for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Kuchh Bas Hi Na Tha Warna Ye Ilzam Na Lete in PDF.