Mar Kar Mariz-e-gham Ki Wo Haalat Nahin Rahi

mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi

yani wo iztirab ki surat nahin rahi

har lamha-e-hayat raha waqf kar-e-shauq

marne ki umr bhar mujhe fursat nahin rahi

ek nala-e-KHamosh musalsal hai aur hum

yaadash-ba-KHair zabt ki taqat nahin rahi

wo ahd-e-dil-farebi-e-tasir ab kahan

muddat se aah aah ki hasrat nahin rahi

dil aur hawa-e-silsila-e-jambani-e-nashat

kyun pas-e-waz-e-gham tujhe ghairat nahin rahi

har be-gunah se wada-e-baKHshish hai roz-e-hashr

goya gunah ki bhi zarurat nahin rahi

ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gaya

taklif parda-dari-e-hasrat nahin rahi

pathra gai thi aankh magar band to na thi

ab ye bhi intizar ki surat nahin rahi

ibrat ne bekasi ka nishan bhi miTa diya

uDti thi jis pe KHak wo turbat nahin rahi

mahshar mein bhi wo ahd-e-wafa se mukar gae

jis ki KHushi thi ab wo qayamat nahin rahi

kis munh se gham ke zabt ka dawa kare koi

taqat ba-qadr-e-hasrat-e-rahat nahin rahi

'fani' ummid-e-marg ne bhi de diya jawab

jine ki hijr mein koi surat nahin rahi

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Kar Mariz-e-gham Ki Wo Haalat Nahin Rahi In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mar Kar Mariz-e-gham Ki Wo Haalat Nahin Rahi is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mar Kar Mariz-e-gham Ki Wo Haalat Nahin Rahi for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mar Kar Mariz-e-gham Ki Wo Haalat Nahin Rahi in PDF.