Lutf O Karam Ke Putle Ho Ab Qahr O Sitam Ka Nam Nahin

lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin

dil pe KHuda ki mar ki phir bhi chain nahin aaram nahin

jitne munh hain utni baaten dil ka pata kya KHak chale

jis ne dil ki chori ki hai ek usi ka nam nahin

jalwa o dil mein farq nahin jalwe ko hi ab dil kahte hain

yani ishq ki hasti ka aaghaz to hai anjam nahin

ruk ke jo sansen aain gain mana ki wo aahen thin lekin

aap ne tewar kyun badle aahon mein kisi ka nam nahin

ishq ke aazari bhi kahin mar jaane se ji jate hain

le ye tasalli rahne de ai maut ye tera kaam nahin

kab se paDi hain dil mein tere zikr ki sari rahen band

barson guzre is basti mein rasm-e-salam-o-payam nahin

had thi ye betabi-e-dil ki jaaniye ab kya hona hai

sabr ki had bhi hone aai subh nahin ya sham nahin

dil pe apna bas nahin chalta un ki shikayat kya kije

aap hum apne dushman Thahre dost pe kuchh ilzam nahin

dil se kisi ki aankhon tak kuchh raaz ki baaten pahunchi hain

aankh se dil tak aaya ho aisa to koi paigham nahin

naza mein 'fani' tu ne ye kis ka chupke chupke nam liya

kyun o kafir teri zaban par ab bhi KHuda ka nam nahin

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf O Karam Ke Putle Ho Ab Qahr O Sitam Ka Nam Nahin In English By Famous Poet Fani Badayuni. Lutf O Karam Ke Putle Ho Ab Qahr O Sitam Ka Nam Nahin is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Lutf O Karam Ke Putle Ho Ab Qahr O Sitam Ka Nam Nahin for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Lutf O Karam Ke Putle Ho Ab Qahr O Sitam Ka Nam Nahin in PDF.