Le Etibar-e-wada-e-farda Nahin Raha

le e'tibar-e-wada-e-farda nahin raha

ab ye bhi zindagi ka sahaara nahin raha

tum mujh se kya phire ki qayamat si aa gai

ye kya hua ki koi kisi ka nahin raha

kya kya gile na the ki idhar dekhte nahin

dekha to koi dekhne wala nahin raha

aahen hujum-e-yas mein kuchh aisi kho gain

dil aashna-e-dard hi goya nahin raha

allah re chashm-e-hosh ki kasrat-parastiyan

zarre hi rah gae koi sahra nahin raha

de un pe jaan jis ko gharaz ho ki dil ke baad

un ki nigah ka wo taqaza nahin raha

tum do-ghaDi ko aae na bimar ke qarib

bimar do-ghaDi ko bhi achchha nahin raha

'fani' bas ab KHuda ke liye zikr-e-dil na chheD

jaane bhi de bala se raha ya nahin raha

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Le Etibar-e-wada-e-farda Nahin Raha In English By Famous Poet Fani Badayuni. Le Etibar-e-wada-e-farda Nahin Raha is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Le Etibar-e-wada-e-farda Nahin Raha for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Le Etibar-e-wada-e-farda Nahin Raha in PDF.