Kyun Na Nairang-e-junun Par Koi Qurban Ho Jae

kyun na nairang-e-junun par koi qurban ho jae

ghar wo sahra ki bahaar aae to zindan ho jae

barq dam lene ko Thahre to rag-e-jaan ho jae

fitna-e-hashr mujassam ho to insan ho jae

jauhar-e-aina dil hai wo taswir hai tu

dil wo aaina ki tu dekh ke hairan ho jae

gham wo rahat jise qismat ke dhani pate hain

dam wo mushkil hai ki maut aae to aasan ho jae

ishq wo kufr ki iman hai dil walon ka

aql majbur wo kafir jo musalman ho jae

zarra wo raaz-e-bayaban hai jo ifsha na hua

dasht-e-wahshat hai wo zarra jo bayaban ho jae

gham-e-mehsus wo baatil jise kahte hain majaz

dil ki hasti wo haqiqat hai jo uryan ho jae

KHuld mai-KHane ko kahte hain ba-qaul-e-waiz

kaba but-KHane ko kahte hain jo viran ho jae

sajda kahte hain dar-e-yar pe mar jaane ko

qibla wo sar hai jo KHak-e-rah-e-jaanan ho jae

maut wo din bhi dikhae mujhe jis din 'fani'

zindagi apni jafaon pe pashiman ho jae

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Na Nairang-e-junun Par Koi Qurban Ho Jae In English By Famous Poet Fani Badayuni. Kyun Na Nairang-e-junun Par Koi Qurban Ho Jae is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Kyun Na Nairang-e-junun Par Koi Qurban Ho Jae for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Kyun Na Nairang-e-junun Par Koi Qurban Ho Jae in PDF.