Mar Ke TuTa Hai Kahin Silsila-e-qaid-e-hayat

mar ke TuTa hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat

magar itna hai ki zanjir badal jati hai

asar-e-ishq taghaful bhi hai bedad bhi hai

wahi taqsir hai tazir badal jati hai

kahte kahte mera afsana gila hota hai

dekhte dekhte taqdir badal jati hai

roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz

roz dil mein teri taswir badal jati hai

ghar mein rahta hai tere dam se ujala hi kuchh aur

mah o KHurshid ki tanwir badal jati hai

gham nasibon mein hai 'fani' gham-e-duniya ho ki ishq

dil ki taqdir se tadbir badal jati hai

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Ke TuTa Hai Kahin Silsila-e-qaid-e-hayat In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mar Ke TuTa Hai Kahin Silsila-e-qaid-e-hayat is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mar Ke TuTa Hai Kahin Silsila-e-qaid-e-hayat for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mar Ke TuTa Hai Kahin Silsila-e-qaid-e-hayat in PDF.