Mohtaj-e-ajal Kyun Hai KHud Apni Qaza Ho Ja

mohtaj-e-ajal kyun hai KHud apni qaza ho ja

ghairat ho to marne se pahle hi fana ho ja

ai shauq-e-talab baDh kar majnun-e-ada ho ja

ai himmat-e-mardana raazi-ba-raza ho ja

aaghosh-e-fana mein hum parwarda-e-afat hain

ai fitna-e-dauran uTh ai hashr bapa ho ja

zid aur ye zid ai dil achchha to KHuda-hafiz

qurban hi us but par hota hai to ja ho ja

us jaan-e-tamanna se be-parda na shikwa kar

wo tujh se KHafa hai to jine se KHafa ho ja

har qafla-e-dil ko tu muzhda-e-manzil de

har rahguzar-e-gham mein naqsh-e-kaf-e-pa ho ja

ye dard-e-mohabbat bhi kya shai hai maaz-allah

main dard-e-mohabbat se kahta hun siwa ho ja

zalim ka na shikwa kar zulmon ki na parwa kar

tu apni wafaon ki izzat pe fida ho ja

is hasti-e-fani se kar qat-e-nazar 'fani'

tu dost ka talib hai dushman se juda ho ja

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohtaj-e-ajal Kyun Hai KHud Apni Qaza Ho Ja In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mohtaj-e-ajal Kyun Hai KHud Apni Qaza Ho Ja is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mohtaj-e-ajal Kyun Hai KHud Apni Qaza Ho Ja for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mohtaj-e-ajal Kyun Hai KHud Apni Qaza Ho Ja in PDF.