Mizaj-e-dahr Mein Un Ka Ishaara Pae Ja

mizaj-e-dahr mein un ka ishaara pae ja

jo ho sake to bahar-haal muskurae ja

bahaar-e-sad-chamanistan-e-arzu ban kar

mere KHayal ki ranginiyon mein aae ja

KHirad-nawaz nigahon ki aaD mein rah kar

faza-e-alam-e-diwangi pe chhae ja

pilae ja ki abhi hosh-e-be-KHudi hai mujhe

pilae ja mujhe saqi abhi pilae ja

dil o jigar pe guzar jaegi jo guzregi

teri nazar se jo fitne uThen uThae ja

zara Thahr ki ab anjam-e-soz-e-gham hai qarib

charagh-e-zist bhaDakne ko hai bujhae ja

sukut-e-mayyat-e-'fani' hai ek fasana-e-shauq

lab-e-KHamosh se har muddaa ko pae ja

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mizaj-e-dahr Mein Un Ka Ishaara Pae Ja In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mizaj-e-dahr Mein Un Ka Ishaara Pae Ja is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mizaj-e-dahr Mein Un Ka Ishaara Pae Ja for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mizaj-e-dahr Mein Un Ka Ishaara Pae Ja in PDF.