Nahin Manzur Tap-e-hijr Ka Ruswa Hona

nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona

tere bimar ka achchha nahin achchha hona

naseha wusat-e-kashana junun-KHez nahin

warna kya farz hai aawara-e-sahra hona

bas ab ai zabt ziyaada mujhe mahjub na kar

hai meri aankh ki taqdir mein dariya hona

kis se khulte hain teri zulf-e-girah-gir ke bal

koi aasan hai ye uqda-e-dil wa hona

nigah-e-naz ko aasan dam-e-KHanjar banna

lab-e-jaan-baKHsh ko dushwar masiha hona

hae baaton mein teri laghzish-e-mastana-e-naz

hae aankhon mein teri nashsha-e-sahba hona

hama-tan dagh-e-gham-e-ishq-e-butan hun 'fani'

dil se bhata hai mujhe naqsh-e-suwaida hona

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Manzur Tap-e-hijr Ka Ruswa Hona In English By Famous Poet Fani Badayuni. Nahin Manzur Tap-e-hijr Ka Ruswa Hona is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Nahin Manzur Tap-e-hijr Ka Ruswa Hona for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Nahin Manzur Tap-e-hijr Ka Ruswa Hona in PDF.