Nam Badnam Hai Nahaq Shab-e-tanhai Ka

nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka

wo bhi ek ruKH hai teri anjuman-arai ka

aa chala hai mujhe kuchh wada-e-farda ka yaqin

dil pe ilzam na aa jae shakebai ka

ab na kanTon hi se kuchh lag na phulon se lagao

hum ne dekha hai tamasha teri ranai ka

donon aalam se guzar kar bhi zamana guzra

kuchh Thikana bhi hai is baadiya-paimai ka

KHud hi betab tajalli hai azal se koi

dekhne ke liye parda hai tamannai ka

lag gai bhiD ye diwana jidhar se guzra

ek aalam ko hai sauda tere saudai ka

phir usi kafir be-mehr ke dar par 'fani'

le chala shauq mujhe nasiya-farsai ka

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam Badnam Hai Nahaq Shab-e-tanhai Ka In English By Famous Poet Fani Badayuni. Nam Badnam Hai Nahaq Shab-e-tanhai Ka is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Nam Badnam Hai Nahaq Shab-e-tanhai Ka for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Nam Badnam Hai Nahaq Shab-e-tanhai Ka in PDF.