Qasam Na Khao Taghaful Se Baz Aane Ki

qasam na khao taghaful se baz aane ki

ki dil mein ab nahin taqat satae jaane ki

hamari maut ne kuchh muKHtasar kiya warna

kuchh intiha hi na thi ishq ke fasane ki

giri na barq kuchh is KHauf se mere hote

taDap ke aag bujha dun na aashiyane ki

tumhaara dard to darman bana liya hum ne

ab aur sochiye tadbir dil dukhane ki

zamana kufr-e-mohabbat se kar chuka tha gurez

teri nazar ne palaT di hawa zamane ki

palaT palaT ke qafas hi ki samt jata hun

kisi ne rah batai na aashiyane ki

najat di gham-e-duniya se dard-e-dil ne mujhe

ye ek rah mili gham se chhuT jaane ki

wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein

wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki

bata raha hai har andaz KHak-e-'fani' ka

ye KHak hai usi kafir ke aastane ki

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasam Na Khao Taghaful Se Baz Aane Ki In English By Famous Poet Fani Badayuni. Qasam Na Khao Taghaful Se Baz Aane Ki is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Qasam Na Khao Taghaful Se Baz Aane Ki for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Qasam Na Khao Taghaful Se Baz Aane Ki in PDF.