Qatra Dariya-e-ashnai Hai

qatra dariya-e-ashnai hai

kya teri shan-e-kibriyai hai

teri marzi jo dekh pai hai

KHalish-e-dard ki ban aai hai

wahm ko bhi tera nishan na mila

na-rasai si na-rasai hai

kaun dil hai jo dardmand nahin

kya tere dard ki KHudai hai

jalwa-e-yar ka bhikari hun

shash-jihat kasa-e-gadai hai

maut aati hai tum na aaoge

tum na aae to maut aai hai

bichh gae rah-e-yar mein kanTe

kis ko uzr-e-barhana-pai hai

tark-e-ummid bas ki baat nahin

warna ummid kab bar aai hai

muzhda-e-jannat-e-visal hai maut

zindagi mahshar-e-judai hai

aarzu phir hai dar-pa-e-tadbir

sai-e-nakaam ki duhai hai

maut hi sath de to de 'fani'

umr ko uzr-e-bewafai hai

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatra Dariya-e-ashnai Hai In English By Famous Poet Fani Badayuni. Qatra Dariya-e-ashnai Hai is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Qatra Dariya-e-ashnai Hai for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Qatra Dariya-e-ashnai Hai in PDF.