Qissa-e-zist MuKHtasar Karte

qissa-e-zist muKHtasar karte

kuchh to apni si chaaragar karte

maut ki nind so gae bimar

roz kis sham ko sahar karte

sach hai har nala kyun rasa hota

mere nale the kyun asar karte

KHud wafa kya wafa ka badla kya

lutf ehsan tha agar karte

kar liya tere nam par sajda

ab kahan qasd-e-sang-e-dar karte

aas hoti to is sahaare par

sabr mumkin na tha magar karte

kash aaina hath se rakh kar

tum mere haal par nazar karte

tul-e-rudad-e-gham maaz-allah

umr guzri hai muKHtasar karte

gham ne mohlat na di ki hum 'fani'

aur kuchh din abhi basar karte

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qissa-e-zist MuKHtasar Karte In English By Famous Poet Fani Badayuni. Qissa-e-zist MuKHtasar Karte is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Qissa-e-zist MuKHtasar Karte for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Qissa-e-zist MuKHtasar Karte in PDF.