Sang-e-dar Dekh Ke Sar Yaad Aaya

sang-e-dar dekh ke sar yaad aaya

koi diwana magar yaad aaya

phir wo andaz-e-nazar yaad aaya

chaak-e-dil ta-ba jigar yaad aaya

zauq-e-arbab-e-nazar yaad aaya

sajda be-minnat-e-sar yaad aaya

har tabassum pe ye khata hun fareb

ki unhen dida-e-tar yaad aaya

phir tera naqsh-e-qadam hai darkar

sajda-e-rahguzar yaad aaya

jama karta hun ghubar-e-rah-e-dost

sar-e-shorida magar yaad aaya

hae wo marka-e-nawak-e-naz

dil bachaya to jigar yaad aaya

aaina ab nahin dekha jata

main ba-unwan-e-digar yaad aaya

dard ko phir hai mere dil ki talash

KHana-barbaad ko ghar yaad aaya

us ko bhule to hue ho 'fani'

kya karoge wo agar yaad aaya

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sang-e-dar Dekh Ke Sar Yaad Aaya In English By Famous Poet Fani Badayuni. Sang-e-dar Dekh Ke Sar Yaad Aaya is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Sang-e-dar Dekh Ke Sar Yaad Aaya for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Sang-e-dar Dekh Ke Sar Yaad Aaya in PDF.