Zaban Muddaa-ashna Chahta Hun

zaban muddaa-ashna chahta hun

dil ab zindagi se KHafa chahta hun

ada ko ada-ashna chahta hun

tujhi par tujhe mubtila chahta hun

wafa chahte hain wafa chahta hun

wo kya chahte hain main kya chahta hun

mohabbat ko ruswa kiya chahta hun

nazar mahram-e-iltija chahta hun

tayyun gham-e-ishq ka chahta hun

unhen chahta hun ye kya chahta hun

tere dil ko dard-ashna chahta hun

bhala chahta hun bura chahta hun

bahut tang hai wahm-e-hasti ki duniya

main aalam hi ab dusra chahta hun

shab-e-hijr tera tasawwur hi to hai

tujhe aaj tujh se juda chahta hun

meri maut matam ka husn-e-talab hai

sukun ek hangama-za chahta hun

KHata DhunDta hun ataon ke qabil

ata chahte hain KHata chahta hun

phir us bazm ko DhunDti hain nigahen

phir ek shikwa-e-barmala chahta hun

wo fariyaad ka ahd phir yaad aaya

phir ek nala-e-na-rasa chahta hun

phir aadab-e-furqat hain malhuz yani

hujum-e-bala-dar-bala chahta hun

phir ek sajda-e-tauba ki aarzu hai

tujhe aap se phir KHafa chahta hun

phir ummid-war-e-karam hun ki 'fani'

sitam-ha-e-shauq-azma chahta hun

koi wajh-e-taskin nahin gham na rahat

KHuda jaane 'fani' main kya chahta hun

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Muddaa-ashna Chahta Hun In English By Famous Poet Fani Badayuni. Zaban Muddaa-ashna Chahta Hun is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Zaban Muddaa-ashna Chahta Hun for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Zaban Muddaa-ashna Chahta Hun in PDF.