Yun Nazm-e-jahan Darham-o-barham Na Hua Tha

yun nazm-e-jahan darham-o-barham na hua tha

aisa bhi tere husn ka aalam na hua tha

phir chheD diya wusat-e-mahshar ki faza ne

sauda tere wahshi ka abhi kam na hua tha

ya ishrat-e-do-roza tha ya hasrat-e-diroz

wo lamha-e-hasti jo abhi gham na hua tha

sad haif wo gul ho kaf-e-gul-chin mein jo ab tak

aazurda-e-awezish-e-shabnam na hua tha

qatil hi mera kyun ise kahta hai zamana

mana wo sharik-e-saf-e-matam na hua tha

raaz aaj mere dam se hua raaz-e-mohabbat

kuchh raaz na tha jab koi mahram na hua tha

pate hi KHajil rahm ka dariya umaD aaya

parda meri aankhon ka abhi nam na hua tha

ruswa na kar is soz ko ai sham-e-lab-e-gor

jo waqif-e-dil-sozi-e-hamdam na hua tha

ghar KHair se taqdir ne virana banaya

saman-e-junun mujh se faraham na hua tha

ek kufr sarapa ne kiya hashr ka qail

main mo'taqid-e-hashr-e-mujassam na hua tha

har dil mein nai shan-e-tajalli hai ki 'fani'

nashtar hai wo andaz jo marham na hua tha

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Nazm-e-jahan Darham-o-barham Na Hua Tha In English By Famous Poet Fani Badayuni. Yun Nazm-e-jahan Darham-o-barham Na Hua Tha is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Yun Nazm-e-jahan Darham-o-barham Na Hua Tha for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Yun Nazm-e-jahan Darham-o-barham Na Hua Tha in PDF.