Ye Kis Qayamat Ki Bekasi Hai Zamin Hi Apna Na Yar Mera

ye kis qayamat ki bekasi hai zamin hi apna na yar mera

na KHatir-e-be-qarar meri na dida-e-ashk-bar mera

nishan-e-turbat ayan nahin hai nahin ki baqi nishan nahin hai

mazar mera kahan nahin hai kahin nahin hai mazar mera

visal tera KHayal tera jo ho to kyunkar na ho to kyunkar

na tujh pe kuchh iKHtiyar dil ka na dil pe kuchh iKHtiyar mera

nigah-e-dil-doz ki duhai jamal-e-jaan-soz ki duhai

rah-e-mohabbat mein gham ne luTa shakeb o sabr o qarar mera

main dard-e-furqat se jaan-ba-lab hun tumhein yaqin-e-wafa nahin hai

mujhe nahin e'tibar apna tumhein nahin e'tibar mera

qadam nikal ab to ghar se bahar jo dam bhi sine se sahl nikle

dikha na ab intizar apna lahad ko hai intizar mera

suna hai uTTha hai ek bagula jilau mein kuchh aandhiyon ko le kar

tawaf-e-dast-e-junun ko shayad gaya hai 'fani' ghubar mera

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Qayamat Ki Bekasi Hai Zamin Hi Apna Na Yar Mera In English By Famous Poet Fani Badayuni. Ye Kis Qayamat Ki Bekasi Hai Zamin Hi Apna Na Yar Mera is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Ye Kis Qayamat Ki Bekasi Hai Zamin Hi Apna Na Yar Mera for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Ye Kis Qayamat Ki Bekasi Hai Zamin Hi Apna Na Yar Mera in PDF.