Yan Hosh Se Be-zar Hua Bhi Nahin Jata

yan hosh se be-zar hua bhi nahin jata

us bazm mein hushyar hua bhi nahin jata

kahte ho ki hum wada-e-pursish nahin karte

ye sun ke to bimar hua bhi nahin jata

dushwari-e-inkar se talib nahin Darte

yun sahl to iqrar hua bhi nahin jata

aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat

ahbab se gham-KHwar hua bhi nahin jata

jate hue khate ho meri jaan ki qasmen

ab jaan se be-zar hua bhi nahin jata

gham kya hai agar manzil-e-jaanan hai bahut dur

kya KHak-e-rah-e-yar hua bhi nahin jata

dekha na gaya us se taDapte hue dil ko

zalim se jafakar hua bhi nahin jata

ye turfa sitam hai ki sitam bhi hai karam bhi

ab KHugar-e-azar hua bhi nahin jata

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yan Hosh Se Be-zar Hua Bhi Nahin Jata In English By Famous Poet Fani Badayuni. Yan Hosh Se Be-zar Hua Bhi Nahin Jata is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Yan Hosh Se Be-zar Hua Bhi Nahin Jata for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Yan Hosh Se Be-zar Hua Bhi Nahin Jata in PDF.