Wo Puchhte Hain Hijr Mein Hai Iztirab Kya

wo puchhte hain hijr mein hai iztirab kya

hairan hun ki dun unhen is ka jawab kya

dil aur wo bhi sirf mera dardmand dil

teri nigah ne ye kiya intiKHab kya

jati nahin KHalish alam-e-rozgar ki

ai aasman hua wo tera inqilab kya

nazzara-e-jamal ki yan tab hi nahin

ai barq-e-husn chahiye tujh ko naqab kya

wada bhi kar lo wada pe yan aa bhi jao tum

ye sab sahi tumhaari nahin ka jawab kya

besh-az-guman KHwab nahin fursat-e-hayat

'fani' tum is KHayal ko samjhe ho KHwab kya

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Puchhte Hain Hijr Mein Hai Iztirab Kya In English By Famous Poet Fani Badayuni. Wo Puchhte Hain Hijr Mein Hai Iztirab Kya is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Wo Puchhte Hain Hijr Mein Hai Iztirab Kya for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Wo Puchhte Hain Hijr Mein Hai Iztirab Kya in PDF.