Wo Mashq-e-KHu-e-taghaful Phir Ek Bar Rahe

wo mashq-e-KHu-e-taghaful phir ek bar rahe

bahut dinon mere matam mein sogwar rahe

KHuda ki mar jo ab dil pe iKHtiyar rahe

bahut qarar ke parde mein be-qarar rahe

kisi ne wada-e-sabr-azma kiya to hai

KHuda kare ki mujhe tab-e-intizar rahe

fana ke baad ye majburiyan are tauba

koi mazar mein koi sar-e-mazar rahe

sukun-e-maut meri lash ko nasib nahin

rahe magar koi itna na be-qarar rahe

main kab se maut ke is aasre pe jita hun

ki zindagi meri marne ki yaadgar rahe

jo dil bacha na sake jaan kya bacha lenge

na iKHtiyar raha hai na iKHtiyar rahe

main gham-nasib wo majbur-e-shauq hun 'fani'

jo na-murad jiye aur ummid-war rahe

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mashq-e-KHu-e-taghaful Phir Ek Bar Rahe In English By Famous Poet Fani Badayuni. Wo Mashq-e-KHu-e-taghaful Phir Ek Bar Rahe is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Wo Mashq-e-KHu-e-taghaful Phir Ek Bar Rahe for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Wo Mashq-e-KHu-e-taghaful Phir Ek Bar Rahe in PDF.