Wo Kahte Hain Ki Hai TuTe Hue Dil Par Karam Mera

wo kahte hain ki hai TuTe hue dil par karam mera

magar min-jumla-e-adab-e-gham-KHwari hai gham mera

wahan sajde se ab tak qudsiyon ke sar nahin uThte

paDa tha jis jagah rah-e-mohabbat mein qadam mera

zahe taqdir-e-nakaami ki teri maslahat Thahri

teri marzi se wabasta hua allah re gham mera

na jaanen is safar ki manzil-e-awwal kahan hogi

fana ki aaKHiri manzil pe hai pahla qadam mera

mere josh-e-talab ki shan-e-istighna koi dekhe

ki main rahbar se aage mujh se aage hai qadam mera

main wo aazurda-e-wahm-e-musarrat hun maaz-allah

ki gham ko gham samajhne se bhi ghabraata hai dam mera

ye mahrum-e-tabassum mir-e-saman-e-tabassum hai

teri bazm-e-tarab mein mo'tabar hai ashk-e-gham mera

ab aage kis se likkha jae aaghaz-e-mohabbat par

fasana KHatm kar dete hain arbab-e-qalam mera

meri aawargi har qaid se be-zar hai shayad

ki ab us ki gali mein bhi guzar hota hai kam mera

baqa kahte hain jis ko wo mera ehsan hai 'fani'

wo hadis hun ki duniya-e-qadam bharti hai dam mera

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kahte Hain Ki Hai TuTe Hue Dil Par Karam Mera In English By Famous Poet Fani Badayuni. Wo Kahte Hain Ki Hai TuTe Hue Dil Par Karam Mera is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Wo Kahte Hain Ki Hai TuTe Hue Dil Par Karam Mera for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Wo Kahte Hain Ki Hai TuTe Hue Dil Par Karam Mera in PDF.