Jism Mein Gunjta Hai Ruh Pe Likkha Dukh Hai

jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai

tu meri aankh se bahta hua pahla dukh hai

kya karun bech bhi sakta nahin ganjina-e-zaKHm

kya karun banT bhi sakta nahin aisa dukh hai

ye tab-o-tab zamane ki jo hai na yaro

kijiye ghaur to lagta hai ki sara dukh hai

tum mere dukh ke tanasub ko samajhte kab ho

jitni KHushiyan hain tumhaari mera utna dukh hai

aisa lagta hai mere sath nahin kuchh bhi aur

aisa lagta hai mere sath hamesha dukh hai

mujh se mat aankh milao ki meri aankhon mein

shahr ki zard ghuTan dasht sa pyasa dukh hai

le gae log wo dariya-e-jawan apne sath

aur mere hath jo aaya hai wo sahra dukh hai

kya bataun ki liye phirta hun dukh kitne qadim

tum samajhti ho faqat mujh ko tumhaara dukh hai

us ke lahje mein thakan hai na hi aasar-e-marg

us ki aankhon mein magar sab se anokha dukh hai

hum kisi shaKHs ke dukh se nahin milte 'haidar'

jo zamane se alag hai wo hamara dukh hai

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Mein Gunjta Hai Ruh Pe Likkha Dukh Hai In English By Famous Poet Faqeeh Haidar. Jism Mein Gunjta Hai Ruh Pe Likkha Dukh Hai is written by Faqeeh Haidar. Read famous Poem Jism Mein Gunjta Hai Ruh Pe Likkha Dukh Hai for youth and Student by Faqeeh Haidar. Free Download Jism Mein Gunjta Hai Ruh Pe Likkha Dukh Hai in PDF.