Kami Zara Si Agar Fasle Mein Aa Jae

kami zara si agar fasle mein aa jae

wo shaKHs phir se mere rabte mein aa jae

use kured raha hun tarah tarah se ki wo

jihat jihat se mere jaeze mein aa jae

kamal jab hai ki sanwre wo apne darpan mein

aur us ka aks mere aaine mein aa jae

kiya hai tark-e-talluq to muD ke dekhna kya

kahin na farq tere faisle mein aa jae

dimagh ahl-e-mohabbat ka sath deta nahin

use kaho ki wo dil ke kahe mein aa jae

wo meri rah mein aankhen bichhae baiTha ho

ye waqia bhi kabhi dekhne mein aa jae

wo mahtab-e-zamana hai log kahte hain

to us ka nur mere shab-kade mein aa jae

bas ek 'faragh' bacha hai junun-pasand yahan

kaho ki wo bhi mere qafile mein aa jae

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kami Zara Si Agar Fasle Mein Aa Jae In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Kami Zara Si Agar Fasle Mein Aa Jae is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Kami Zara Si Agar Fasle Mein Aa Jae for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Kami Zara Si Agar Fasle Mein Aa Jae in PDF.