KHub Nibhegi Hum Donon Mein Mere Jaisa Tu Bhi Hai

KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai

thoDa jhuTa main bhi Thahra thoDa jhuTa tu bhi hai

jang ana ki haar hi jaana behtar hai ab laDne se

main bhi hun TuTa TuTa sa bikhra bikhra tu bhi hai

jaane kis ne Dar boya hai hum donon ki rahon mein

main bhi hun kuchh KHauf-zada sa sahma sahma tu bhi hai

ek muddat se fasla qaem sirf hamare bich hi kyun

sab se milta rahta hun main sab se milta tu bhi hai

apne apne dil ke andar simTe hue hain hum donon

gum-sum gum-sum main bhi bahut hun khoya khoya tu bhi hai

hum donon tajdid-e-rifaqat kar lete to achchha tha

dekh akela main hi nahin hun tanha tanha tu bhi hai

had se 'faragh' aage ja nikle donon ana ki rahon par

sarf-e-pasheman main hi nahin hun kuchh sharminda tu bhi hai

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHub Nibhegi Hum Donon Mein Mere Jaisa Tu Bhi Hai In English By Famous Poet Faragh Rohvi. KHub Nibhegi Hum Donon Mein Mere Jaisa Tu Bhi Hai is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem KHub Nibhegi Hum Donon Mein Mere Jaisa Tu Bhi Hai for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download KHub Nibhegi Hum Donon Mein Mere Jaisa Tu Bhi Hai in PDF.