Labon Ke Samne Khaali Gilass Rakhte Hain

labon ke samne KHali gilass rakhte hain

samundaron se kaho hum bhi pyas rakhte hain

har ek gam pe raushan hua KHuda ka guman

isi guman pe yaqin ki asas rakhte hain

hum apne aap se pate hain koson dur use

wahi KHuda ki jise aas-pas rakhte hain

chaDha ke dar-e-qanaat pe har tamanna ko

jo ek dil hai use bhi udas rakhte hain

ziyan-pasand hamara mizaj hai warna

nigah hum bhi zamana-shanas rakhte hain

hamare tan pe koi qimti qaba na sahi

ghazal ko apni magar KHush-libas rakhte hain

chalo ki rah-e-tamanna mein chal ke hum bhi 'faragh'

zamin-e-dil pe ghamon ki asas rakhte hain

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Ke Samne Khaali Gilass Rakhte Hain In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Labon Ke Samne Khaali Gilass Rakhte Hain is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Labon Ke Samne Khaali Gilass Rakhte Hain for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Labon Ke Samne Khaali Gilass Rakhte Hain in PDF.