Nawah-e-jaan Mein Kisi Ke Utarna Chaha Tha

nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha

ye jurm main ne bas ek bar karna chaha tha

jo but banaunga tera to hath honge qalam

ye jaante hue jurmana bharna chaha tha

baghair us ke bhi ab dekhiye main zinda hun

wo jis ke sath kabhi main ne marna chaha tha

shab-e-firaq ajal ki thi aarzu mujh ko

ye roz roz to main ne na marna chaha tha

kashid itr kiya ja raha hai ab mujh se

ki mushk ban ke faza mein bikharna chaha tha

us ek baat pe naraaz hain sabhi suraj

ki main ne un sa ufuq par ubharna chaha tha

laga raha hai jo sharten meri uDanon par

mere paron ko usi ne katarna chaha tha

usi taraf hai zamana bhi aaj mahw-e-safar

'faragh' main ne jidhar se guzarna chaha tha

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nawah-e-jaan Mein Kisi Ke Utarna Chaha Tha In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Nawah-e-jaan Mein Kisi Ke Utarna Chaha Tha is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Nawah-e-jaan Mein Kisi Ke Utarna Chaha Tha for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Nawah-e-jaan Mein Kisi Ke Utarna Chaha Tha in PDF.