ChiDiya-KHana

najmi fahmi uzma raana

aao dekhen chiDiya-KHana

jin ke nam suna karte ho

aaj unhen nazdik se dekho

ek se ek parinde dekho

aadam-KHor darinde dekho

mor saron par taj sajae

nach rahe hain par phailae

bulbul dekho tota dekho

koyal dekho maina dekho

KHush-awaz papiha dekho

hud-hud aur gaurayya dekho

bhonra dekho titli dekho

sher ki KHala billi dekho

zebra ghoDa TaTTu KHachchar

baz kabutar kawwa titar

wo dekho KHargosh gilahri

bara-singha aur wo hirni

ban-manus aur bhaalu bhi hai

newla aur kangaru bhi hai

bandar ki naqqali dekho

piT rahe hain tali dekho

do do hathi jhum rahe hain

dur gadhe bhi ghum rahe hain

sheron ka ghurrana dekho

tendwe ka bal khana dekho

wo dekho afriqi gainDa

aur ye hindostani chita

phan kaDhe ek nagan bhi hai

lomDi ek makkaran bhi hai

buzdil gidaD lakkaD-baggha

kaun banega leader is ka

dilkash tair aabi dekho

kaisi hai murghabi dekho

machhli ko lahraate dekho

meinDak ko Tarraate dekho

ek magarmachh jag raha hai

dekh ke kachhwa bhag raha hai

aaj 'faragh' uncle ne dekha

kalkatte ka chiDiya-KHana

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChiDiya-KHana In English By Famous Poet Faragh Rohvi. ChiDiya-KHana is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem ChiDiya-KHana for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download ChiDiya-KHana in PDF.