Ek Rahen Hum

hindu muslim sikh isai

aadam ki aulad hain bhai

kyun aapas mein karen laDai

sab hain ek duje ke bhai

urfi bedi jaani kashi

hum sab hain bhaarat ke bashi

jahan rahen par ek rahen hum

KHub paDhen aur nek banen hum

alag alag hai sab ki bhasha

ek magar hai apni aasha

gulshan sa ho watan hamara

hara-bhara ho chaman hamara

koi anokha kaam karen hum

duniya bhar mein nam karen hum

dushman ghar ghar aag lagae

is se pahle hamein miTae

pahan ke apne desh ki wardi

jaD se miTa den dahshat-gardi

baat 'faragh' uncle ki mano

apni taqat ko pahchano

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Rahen Hum In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Ek Rahen Hum is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Ek Rahen Hum for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Ek Rahen Hum in PDF.