Computer

computer ka hai ye daur

ab jine ka badla taur

daftar daftar ghar ghar aaj

dekh lo computer ka raj

qadam qadam par subh o sham

computer hi aae kaam

us se hum kyun hon mahrum

jab computer ki hai dhum

daur hamara hai kuchh aur

computer sikho fil-faur

chiz bani hairat-angez

us ki memory hai tez

harf sabhi aur sab aadad

computer rakhta hai yaad

ilm-o-fan se hai aabaad

achchha-KHasa hai ustad

har bhasha kar lo tahrir

aur bana lo har taswir

us par kar lo head aur tail

phir khelo man-chahe khel

nai chalai us ne rit

us par bhi bajte hain git

sikh ke computer bachcho

apne KHwab ko sach kar lo

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Computer In English By Famous Poet Faragh Rohvi. Computer is written by Faragh Rohvi. Read famous Poem Computer for youth and Student by Faragh Rohvi. Free Download Computer in PDF.