Dard Ka Samundar Hai Sirf Par Hone Tak

dard ka samundar hai sirf par hone tak

ishq ki haqiqat ke aashkar hone tak

roz-o-shab ki gardish mein mahw-e-raqs rahte hain

KHak ke bagule hain bas ghubar hone tak

KHwahishon ki KHushbu mein KHwab KHwab phirte the

palki mein taron ki hum sawar hone tak

qurbaton ke jangal mein der kitni lagti hai

pairahan mohabbat ka tar tar hone tak

soch ki haweli mein ek sukut tari tha

muntazir nigahon ke be-qarar hone tak

aatish-e-gham-e-dil mein KHak ho gae hum to

rishta-e-mohabbat ke ustuwar hone tak

zindagi ke lahje ko ek umr lagti hai

dhup ki tamazat se saya-dar hone tak

ajnabi musafir the ham-safar rahe phir bhi

ek gurez hail tha e'tibar hone tak

paniyon ke sine par aaj bhi safine hain

sar-phiri hawaon ke sazgar hone tak

kitni maujen Duben-gi sahilon ke daman mein

qurbaton ki koshish mein raaz-dar hone tak

tha kamal-e-kuza-gar Dhaalta raha mujh ko

han 'farah' lage barson shah-kar hone tak

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ka Samundar Hai Sirf Par Hone Tak In English By Famous Poet Farah Iqbal. Dard Ka Samundar Hai Sirf Par Hone Tak is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Dard Ka Samundar Hai Sirf Par Hone Tak for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Dard Ka Samundar Hai Sirf Par Hone Tak in PDF.