Dekha PalaT Ke Jab Bhi To Phaila Ghubar Tha

dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha

kuchh aansuon ki dhund thi ujDa dayar tha

yaadon ke aaine mein hain ab bhi basi hui

aankhen ki jin mein munjamid ek intizar tha

rishton ki Dor hath se chhuTi thi is liye

daman jo bad-gumaniyon se tar tar tha

kaisi thi mai jo aankh se tu ne pilai thi

meri ragon mein aaj tak us ka KHumar tha

TuTa koi sitara tha ya KHwab-e-arzu

tair qafas mein raat bahut be-qarar tha

dhundla diye the jis ne sabhi aaine yahan

mere hi ghar se uTTha wo gard-o-ghubar tha

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekha PalaT Ke Jab Bhi To Phaila Ghubar Tha In English By Famous Poet Farah Iqbal. Dekha PalaT Ke Jab Bhi To Phaila Ghubar Tha is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Dekha PalaT Ke Jab Bhi To Phaila Ghubar Tha for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Dekha PalaT Ke Jab Bhi To Phaila Ghubar Tha in PDF.