Ek Muddat Se Yahan Thahra Hua Pani Hai

ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

dasht-e-tanhai hai aur aankh mein virani hai

dekho KHamosh si jhilon ke kinare ab bhi

sog mein lipTe daraKHton ki farawani hai

aaina dekhne ki tab kahan thi mujh mein

saf likkhi thi jo chehre pe pashemani hai

dasht-e-wahshat mein charaghon ko jalaun kaise

in charaghon se hawaon ko pareshani hai

saya-e-abr-e-tawajjoh ki KHabar kya hoti

zindagi main ne to sahraon se pahchani hai

apne mazi ko mujhe dafn bhi KHud karna hai

ye qayamat bhi dil-o-jaan pe abhi Dhani hai

ab ke chamka hai sitara jo 'farah' baKHt ka hai

tere atraf usi ki hai jo tabani hai

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Muddat Se Yahan Thahra Hua Pani Hai In English By Famous Poet Farah Iqbal. Ek Muddat Se Yahan Thahra Hua Pani Hai is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Ek Muddat Se Yahan Thahra Hua Pani Hai for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Ek Muddat Se Yahan Thahra Hua Pani Hai in PDF.