Kabhi Tum Bhigne Aana Meri Aankhon Ke Mausam Mein

kabhi tum bhigne aana meri aankhon ke mausam mein

banana mujh ko diwana meri aankhon ke mausam mein

barasta bhigta ho jab koi lamha nigahon mein

wahin tum bhi Thahar jaana meri aankhon ke mausam mein

kai mausam guzare hain unhon ne dhup chhanw ke

naya mausam koi lana meri aankhon ke mausam mein

sunahri dhup phaili ho kahin yaadon ke jangal mein

to kirnen ban ke muskana meri aankhon ke mausam mein

kabhi do-chaar ho jaen meri nazren jo tum se to

chhalak jaega paimana meri aankhon ke mausam mein

meri aankhon ke sab mausam hain tanhai se ghabrae

na tanha chhoD kar jaana meri aankhon ke mausam mein

hain yun to fasle kitne zamanon ke makanon ke

magar milte ho rozana meri aankhon ke mausam mein

(1074) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Tum Bhigne Aana Meri Aankhon Ke Mausam Mein In English By Famous Poet Farah Iqbal. Kabhi Tum Bhigne Aana Meri Aankhon Ke Mausam Mein is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Kabhi Tum Bhigne Aana Meri Aankhon Ke Mausam Mein for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Kabhi Tum Bhigne Aana Meri Aankhon Ke Mausam Mein in PDF.