Kaise Manzar Hain Jo Idrak Mein Aa Jate Hain

kaise manzar hain jo idrak mein aa jate hain

jaise moti kisi poshak mein aa jate hain

main jhaTakti hun sabhi zehn se ye wahm-o-guman

phir bhi aksar ye meri tak mein aa jate hain

jaisa bheja hai mujhe aap ne paigham-e-wafa

aise name to kai Dak mein aa jate hain

apni hasti pe guman itna na kije sahab

paikar-e-KHak to phir KHak mein aa jate hain

jin ko aankhon mein basane ki ijazat bhi nahin

wo tasawwur dil-e-bebak mein aa jate hain

nahin hote hain jo chehre se ayan ranj-o-alam

wo sabhi sina-e-sad-chaak mein aa jate hain

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Manzar Hain Jo Idrak Mein Aa Jate Hain In English By Famous Poet Farah Iqbal. Kaise Manzar Hain Jo Idrak Mein Aa Jate Hain is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Kaise Manzar Hain Jo Idrak Mein Aa Jate Hain for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Kaise Manzar Hain Jo Idrak Mein Aa Jate Hain in PDF.