Kahin Yaqin Se Na Ho Jaen Hum Guman Ki Tarah

kahin yaqin se na ho jaen hum guman ki tarah

sambhaal kar hamein rakhiye mata-e-jaan ki tarah

jise sadaf ki tarah aankh mein chhupaya tha

wo kho na jae kahin ashk-e-raegan ki tarah

hamein bhi KHauf-e-talatum ne gher rakha tha

khula nahin tha abhi wo bhi baadban ki tarah

nisab-e-ishq mein sare sawal mushkil the

mohabbaten bhi thin darpesh imtihan ki tarah

khule jo lab to unhi aainon mein hairat thi

jo dekhte the hamein aks-e-be-zaban ki tarah

jahan mili thin kabhi KHushbuen hawaon se

mahak raha tha wo jangal bhi gulistan ki tarah

hunar-wari hai hamari ki apne KHwabon se

qafas bhi hum ne sajaya tha aashiyan ki tarah

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Yaqin Se Na Ho Jaen Hum Guman Ki Tarah In English By Famous Poet Farah Iqbal. Kahin Yaqin Se Na Ho Jaen Hum Guman Ki Tarah is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Kahin Yaqin Se Na Ho Jaen Hum Guman Ki Tarah for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Kahin Yaqin Se Na Ho Jaen Hum Guman Ki Tarah in PDF.