Mere Ham-raqs Sae Ko Bil-aKHir Yunhi Dhalna Tha

mere ham-raqs sae ko bil-aKHir yunhi Dhalna tha

koi mausam nahin rukta so mausam ko badalna tha

taqaza maslahat ka tha hawa se dosti kar len

charaghon ko ujale tak yunhi har taur jalna tha

use to ye ijazat thi wo jab chahe palaT jae

safar mera to baqi tha mujhe to yunhi chalna tha

talatum mein baha kar jo meri hasti ko le jati

usi mauj-e-tamanna se mujhe pahle sambhalna tha

hamein bhi sabz rangat ka wo pairahan ata hota

hamari aastinon mein agar sanpon ko palna tha

hamesha apne kase mein duaon ki talab rakkhi

duaon ke wasile se bura har waqt Talna tha

bataya tha ki ye jauhar bahut nayab hai jaanan

use kho kar tumhein yunhi faqat hathon ko malna tha

shab-e-gham ki tawalat se na ghabrana 'farah' aaKHir

ye suraj Dhal bhi jae to ise phir se nikalna tha

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Ham-raqs Sae Ko Bil-aKHir Yunhi Dhalna Tha In English By Famous Poet Farah Iqbal. Mere Ham-raqs Sae Ko Bil-aKHir Yunhi Dhalna Tha is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Mere Ham-raqs Sae Ko Bil-aKHir Yunhi Dhalna Tha for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Mere Ham-raqs Sae Ko Bil-aKHir Yunhi Dhalna Tha in PDF.