Mohabbat Ka Diya Aise Bujha Tha

mohabbat ka diya aise bujha tha

hawa ke dosh par rakkha hua tha

sitara TuT kar jab bhi gira tha

ajab dhaDka sa dil ko lag gaya tha

ajab wahshat thi tere aaine mein

jahan har aks hi TuTa hua tha

lipaT kar chand se rone laga tha

sitara TuT kar Dar sa gaya tha

use thi chand taron ki talab aur

hamare pas to bas ek diya tha

hazaron rang the ek aarzu ke

magar mujh ko to us ne KHud chuna tha

kisi ahd-e-wafa ka hath thame

koi ek moD par rota raha tha

kisi ko dosh kya den Dubne ka

bhanwar jo panw se lipTa hua tha

ajab be-faiz thi ye bhi mohabbat

bahaaron mein KHizan ka rup sa tha

udhar se dhup ko aane na dunga

tujhe kuchh yaad hai tu ne kaha tha

wahi tishna-labi aankhon mein sahra

wahi mizhgan pe ek aansu dhara tha

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ka Diya Aise Bujha Tha In English By Famous Poet Farah Iqbal. Mohabbat Ka Diya Aise Bujha Tha is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Mohabbat Ka Diya Aise Bujha Tha for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Mohabbat Ka Diya Aise Bujha Tha in PDF.