Shikayat Hum Nahin Karte Riayat Wo Nahin Karte

shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte

magar is par sitam koi wazahat wo nahin karte

rawan ho kis tarah se chahaton ka karwan apna

hamein ruswai ka Dar hai baghawat wo nahin karte

hami jalwa dikhate hain hami shoKHi nigahon se

nahin hota asar phir bhi shararat wo nahin karte

nazar do-chaar ho jae to jhuk jati hain ye palken

magar phir bhi koi jazba inayat wo nahin karte

saba le kar payam aae ya phulon ka salam aae

kisi bhi mausam-e-dil se mohabbat wo nahin karte

koi nama koi email mere nam likh den wo

mohabbat mein kabhi itni bhi zahmat wo nahin karte

(1040) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikayat Hum Nahin Karte Riayat Wo Nahin Karte In English By Famous Poet Farah Iqbal. Shikayat Hum Nahin Karte Riayat Wo Nahin Karte is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Shikayat Hum Nahin Karte Riayat Wo Nahin Karte for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Shikayat Hum Nahin Karte Riayat Wo Nahin Karte in PDF.