Wo Mere Bare Mein Aise Bhi Sochta Kab Tha

wo mere bare mein aise bhi sochta kab tha

agar main aks nahin thi wo aaina kab tha

jo joD deta talluq ke sab rawabit ko

hamare bich koi aisa silsila kab tha

wo zina zina mere dil mein yun utarta gaya

main rok pati use mujh mein hausla kab tha

wo KHush-guman bahut tha ki main hun us ki magar

ye aarzu thi faqat mera faisla kab tha

wo mere zabt ko har aan aazmata raha

main sang-zad hun us ko magar pata kab tha

suna nahin jo kaha tha to kaise samjhate

jo us ne samjha tha mera wo muddaa kab tha

bahaar ban ke wo milne to aa gaya tha mujhe

Thahar bhi jaega ye us ka faisla kab tha

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mere Bare Mein Aise Bhi Sochta Kab Tha In English By Famous Poet Farah Iqbal. Wo Mere Bare Mein Aise Bhi Sochta Kab Tha is written by Farah Iqbal. Read famous Poem Wo Mere Bare Mein Aise Bhi Sochta Kab Tha for youth and Student by Farah Iqbal. Free Download Wo Mere Bare Mein Aise Bhi Sochta Kab Tha in PDF.